"Qaseeda e Ghausia" jaam e muhabbat nosh ker k "Wisal e Elaahi" Ka ailaan hai.
"Qaseeda e Ghausia" lafzon ka shahkaar nahin balkay maa'ni aur matalib ki Jannat hai. Jis Ka "Nazool o Warood" Insaan ko fiqri, amli aur imraani jahannum say door boht door lay ja ker "Hum Rakaab" e jazb e junoon ker daita hai.
Hazrat Abdul Qadir Jeelani R.A her aik kay muqaam e buland ka Qaseeda e Ghausia main aitraaf fermatay hain laikin Hazrat Ali R.A ki nisbat ko Huzoor S.A.W ki nisbat kay baad, her nisbat say faaiq jaantay hain. "Ilm ul Aqaaid" ki behas bandiyon ki Sheikh perwaah nahin kertay Jo kehna chahtay hain bermala kehtay hain.
Iss app main Qaseeda Ghausaia Urdu Translation kay sath shamil kiya gya hai is kay ilawa is main mandarja zail unwaan shamil hain:
1. Sahih Tareeka Fatiha
2. Isaal e Sawaab Bakhshnay Ki Tarkeebain
3. Auraad o Wazaif
4. Amliyaat
5. Duain
Iss app ko perh ker apnay quloob o azhaan ko munawwer karen.